Guys is article me aap ko root ke baray me batawuga ki root hota kya hai aur iske kya nukshan aur faydey hai. Kya root karna theek hota hai ya nhi.
Guys jaisa ki hm sabhi jantey hai ki Android ek bahut popular linux based operation system jo google duwara banaya gaya hai. Jisme aap multitasking, aur bhi bahut sare feature ka use kr saktey hai. Lekin kuch ayse features jo aap bina root ke nhi kr saktay jaise screen record karna, application me data ka backup aur restore karna aur andorid version ko upgrade krna ye sare feature aap root karney ke baad hi kar saktey hai.
Root hota kya hai?
Root ek aaysa process jiske duwara aap system memory yani system ki file ko access kar saktey hai. Android operating system me teen parkar ke storage hotey hai Local Storage, External Storage aur ek system storage yani (Root Folder) jisme hm local aur external storage ko aasani se access kr saktey lekin system storage ko bina root kiye access nhi kar saktey. Agar aap system storage ko access kar letey hai to aap apne android mobile me kuch bhi customize kar saktay hai.
Root Ke Fayde?
Android mobile ko root karney se bahut sare fayde hai. Jinme se kuch yah hai
- Andorid me Root karne ke baad hm Application ke full data ka backup lay saktey aur phir baad me use restore bhi kar saktey hai.
- Andorid mobile me hm root ke madad se apne android version ko upgrade kar saktey hai. Jayse aap ka android version 4.1 hai aur uska OTA update nhi aa raha hai to aap root ki madad se custom rom yani andorid 4.4 ka upgrade install kar saktey hai.
- Root se hm system ke unwanted app yani boltware app ko aasani se delete kar saktey hai. Jo bina root ki impossible hota hai.
- Root ki madad se hm system font ko custom rup se badal saktey hai. Aur mobile ki screen ko aasni se record kar saktey hai.
- Root karne ke baad hm bahut sari Root Permission Application ko aasani se use kar saktey hai.
Root ke Nukshan?
Agar aap apne android mobile ko root kartey ho to iske fayde ke saat iska kuch nukshan bhi hai. Jo kuch yah hai.
- Root karne ke baad aap apne mobile security kho detey hai jisse kovi bhi third party App aap ke phone ko aasani se access kr sakti hai jisse aap ka personal data chori ho sakta hai.
- Root karne ke baad aap apne mobile phone ke warranty kho dete hai. Agar app ne company se naya phone buy kartey hai aur use root kar letay hai to aap uski warranty ko kho detay hai.
- Root karne se aap ka phone dead bhi ho sakta hai. Phone dead hone ki baad sirf aap ke mobile me boot logo hi show karta hai.
I hope aapne ye jaan liya hoga ki root kya hai aur iske kya-kya nukshan aur fayde hai. Agar ye article accha laga to please share aur comment karey.