Thursday, 9 August 2018

What is developer option? || Developer Option kya hota hai.

Hi Guys this is another article aur is article me aap ko android phone me Developer Option ke bare me batawuga ki app android phone me Developer Option ka use kayse kr saketey hai aur iske kya-kya faydey hai.


what is developer option



Guy Aaj ke time pr jiyadatr log smartphone use kartey hai jisme 80% Android phone hote hai. Guys Android ek bahut popular operation system hai aur ise chalana kafi aasan hai. Android phone me bahut sare features hote jaise multitasking, background me App ko use karna aur bhi bahut sare feature hotey hai lekin android me ek aayse feature hota hai Jo Android phone ke andar hide hota hai. Jise hm Developer Option bhi kahtey hai.


How to show developer option in android | Android me developer option kyse show kare


Setting >> About Device >> Build Number >> Click build num 7 time.

Developer option android me hide hota hai aur developer option ko show karne ke liye hme setting ke andar about device me ek option hota hai build number uspar 7 baar click karne par Developer Option show ho jata hai. Aur yah feature advanced user aur developer ke liye hota hai. Lekin agar aap ko iske bare me koyi jaankari hai to is feature ka use aap aasani se kar saktey hai.


Developer Option ke Fayde


Android phone Developer Option ke bahut sare fayde hai jise madad se aap apne android mobile kuch extra features ka use kar saktey hai.


  • Developer Option ki madad se hm apne mobile ki performance ko badha saktey hai. Jisse ke hamre phone ki speed badh jati hai.



  • Developer Option ki madad se hm background me run karne wale app ko rok saktey hai aur custom rom ko aasni se install kr kar saktey.



  • Android me Developer Option ko activate karke mobile ko computer se connect kar saktey hai. Agar aap apne mobile ko computer ki madad se root kar raheo ho to aap ko developer option enable karna padegye. Jisse computer aasani se aap ke phone ko pahchan sakey.



  • Developer option ki madad se app aasani se ye pata laga saktey hai ki hamare phone ke background me kon se app aur kitey samay se chal rahi hai.



  • Developer Option ki madad se HD Game aur app ki performance ko aasani se badha saktey hai. Aur app ke animation ko control kar saktey hai.



  • Android me ham Developer Option ki madad se show touch yani jab aap screen pr touch karege to ek dot animation display hoga usey aasani se use kar saktey hai.

I hope aap ne jaan liya hoga ki android phone me developer option kya hota hai. Agar ye article accha laga to please comment aur share karey.