Hi Guys Jaisa ki ham jantey hai ki poco ek kafi popular brand ban chukka hai aur is maheene kee shuruaat mein, Poco ne Poco m3 smartphone ke ghoshana ke aur Poco X3 pro ko haal hee mein BIS ceritification dvaara approve kiya gaya tha, isalie yah anumaan lagaaya jaata hai ki yah bharat ke lie agala poco phone ho sakata hai.
Poco X3 pro ke FCC Certification se pata chala hai ki isme MIUI 12 ke sath boot karega aur yah Dual Wifi-band, Bluetooth Aur 4G LTE jaise feature ke sath me dekhne ko mil sakta hai. Aur sath me iska model no. bhi BIS Certification pr list ho chuka hai jo M2012J20SI jaisa hai.
According to leaks by XDA Developers, Poco X3 mein
snapdragon 855 ya snapdragon 855+ chipset ho sakata hai. Aur sath me 48-MP ka
quad camera module ke saath aane ka anumaan hai. Debayaan roy ke anusaar, Poco X3
pro march ke pahale ya doosare week mein india me launch ho sakata hai.
Pichhale saal Poco X3 mein hme 120hz refresh rate ke
saath FHD 6.67 display ka sath me dekhne
ko mila tha aur sath me Snapdragon 732G processor aur 6000 mah battery with 33
watt fast charging ke sath me launch hua tha. Aur iska camera 64 MP tha. Leak
ke anusar Poco X3 pro me shayad kafi kuch Upgrade dekhne ko mil satkta hai.